Monday 5 August 2013

Yaara Khafa Na Hoona

Yaar yaar se naraj ho Gaya, Kuch Choti Choti baaton pe khafa ho gaya....Char din has lo mere dosto apna toh kal Bhi bewafa ho Gaya.... Chalo mil kar bita Le jindagi ke Kuch din kya pata... Pata nahi in chaar din mein kya se kya ho gaya...
Yaad karo woh din jab hum sath rahte the...Abh toh woh waqt Bhi bewafa ho gaya... Aaj Hum dur baithe hai ik dusre se....Phir yaar Choti Choti baaton se khafa ho gaya.....

Khafa Hona fitrat si hoti ja rahi hai.. Kyu ki Choti Choti baatein jo Hume chubti ja rahi hai.... Kuch tum meri baaton ko nazar andaz karo Kuch main karta Hun...
Phir dekho main jindagi bhar kaise tumhare sath chalta Hun...Yaar main sath Nibaunga yeh aaj main vaada karta Hun... Aaj ke baad main khafa nahi rahunga yeh main Bhi aaj baat kehta Hun.

No comments:

Post a Comment