Monday 5 August 2013

Thoda Hai Thode Ki Zarurat Hai

Thoda hai thode ki zarurat hai...Bhar bhar ke Bhagwan ne de diya toh kya hua....Apni Jeb bharti Huyi dekhna kitna khoobsurat hai ..

Tum dete RAHO main jeb bharta rahunga... Isko kaise kaha rakhna hai, woh main mannage karta rahunga... Thori tension hai lekin khoobsurat hai..
Thoda hai thode ki zarurat hai..

Teri  kirpa se mili Gadi hai, Bungalow hai, Kaam hai, aram hai....Lekin agar thoda aur miljaye, toh meri aane wali 2-3 pushto ko aaram hai...Jab bank account dekhta Hun, ismein pada balance kitna khoobsurat hai.
Thoda hai thode ki zarurat hai...

Naam hai, sohrat hai, ijjat hai, sab tera diya hai...Lekin yeh Bhi kabhi kam lagta hai..kyu ki hamesha apne se amir aadmi ki dikhti Surat hai... Issiliye Thoda Hai thode ki zarurat hai..

Kuch Bhi karu yeh lalach kam nahi hota...kitna Bhi miljaye dil khush nahi hota... Kaise samjhau iss chanchal mann ko.... Jo hamesha dusro ko dekh kar hai rota... Mujhe yeh Bhi mile muhje woh Bhi mile.... Sab mile toh jindagi ho haye Khoobsurat hai...
Thoda hai thode ki hai zarurat...

Last time jab iss jindagi ka aayega phir yeh mann tu hi pashtayega...Kyu bhaga main inn Cheejo ke piche insmein se toh Kuch mere sath nahi jayega...Liya hota Bhagwan ka naam .... Aaj mera aant (last) samay hota Khoobsurat....Jitna tune diya kafi tha Maine kyu kaha aur kehta raha.....

Thoda Hai thode ki hai Zarurat

No comments:

Post a Comment