Saturday 25 October 2014

Dosti Ka Toifa

Ache dost har kisi ko nahi milte.
Sub inki kadar nahi karte.
Choti choti baato pe,
Kabhi ek Mazak pe,
Kisi ajnabee ki kahi baat pe,
Hum inhe gava dete hai.
Beeta sama bhoola dete hai.
Unki yaadein hum dafna dete hai.

Yahi dost hume duniya dikhate hai,
Binkahe dil ki baate samajh jaate hai
Kai rate toh bus baato main hi bitate hai.
Kabhi rote hai toh kabhi rulate hai.
Kabhi aapki plate saaf kar jaate hai,
Kabhi aapke kiye dabba laate hai.
Bin puche aapka wallet le jaate hai.
Garibi mai yahi aapka kharcha bhi chelate hai.
Ghar pe aapki shikayate lagate hai,
Varna mummy ko aapki baate samjhate hai.

Kabhi class main, kabhi canteen main,
Café main toh kisi movie screening main,
Dare raat koi emergency main,
Aapni ya ghar ki shopping main,
Jushn main pa jeb tangi main,
Dard main, khushi main.
Hum kitna waqt inke saath bitate hai,

Phir kyu choti choti baato pe, hum inhe gavate hai ?

Friday 30 August 2013

Sapne

Kya Sochte hai kya ho jata.....Kuch samaj nahi aata iss upar wale ko hamare sapne tut te huye dekh kar kya maja aata hai....

Maine mana sapne dekhna mera kaam hai....lekin agar unko sach kar dega toh tera kya jata hai...sab toh tere hath Mein hai..yeh bhi mujhe pata hai....phir kyu tod ke mere sapne tu khud bhi dukhi hota hai aur mujhe bhi rulata hai.

Main nahi janta na main janana chahta hun tu aise khel kyu rachata hai....bus yeh bata de mujhe tujhe iss mein kya maja aata hai....jab sab tere hath mein hai...main bhi tera hun tu mera hai....phir kyu iss duniya ki moh Maya ne mujhe ghera hai....

Aisa kaun sa bada sapna Maine dekha hai ..jisko sach karne mein jata kuch tera hai....kar de isko sach iss mein jata kya tera hai......

Kyu mujhe rula raha hai...tujhe mujh pe taras kyu nahi aa raha hai.....kar de tu isko sach tu itna kyu tarsa raha hai.....

Kehna tha jo Maine aaj keh diya......tu bhi iss ko sun aaj....aaja phir haq mein mere kar de mere sapne saakar....Tod de sabka muh aaj aur de de mera sath.....bus aaj itni si hai baat bus aaj itni si hai baat....

Friday 16 August 2013

Zindagi Ke Khel

Zindagi mein kya kya khel hote hai....kuch iss khel mein pass aur kuch fail hote hai...jo samaj lete hai iss khel ko...woh iss khel mein ram se jate hai.....jeet haar se farak nahi padta phir unko..woh toh bus phir apna karam liye jate hai...

Zindagi ki shuruwat bachpan se hoti hai...jab sab taraf maja aur kisi kaam ki chinta nahi hoti hai..haso khelo khil khilao...kabhi iss jagah kabhi uss jagah bus jhoomte chale jao....Maa Baap ka pyar hi sab kuch hota....inhi se apna sansar shuru aur inhi pe khatam hota hai...

Aayi jab jawani ki bari...toh dil mein nayi umeed aur tarango ne Mari udari...aisa lagta hai sab 1 pal mein mera ho...jo sapna dekha uska kabhi na sawera ho....sab jaisa chaha Waise hota chale jaye...Zindagi mein mud ke kabhi dukho ka sawera na Aaye....Jawani aayi toh isko istemal kar lo...apne sapne sach karne hai toh iss hawa se udte waqt ko sambhal lo...Warna samay kaha jayega kuch samaj nahi aayega phir mat kehna....Zindagi ne kya khel dikaye hai....kuch pane chah thi Lekin phir bhi usmein fail ho Aaye hai....

Zindagi ne sab dikha diya bachanpan ka bholapan aur jawani ki shaitani.....bhaut kuch paya bhaut kuch kho diya....kuch Palo ko yaad karke Jee bhar kar hasa aur kuch Palo yaad karke main jor jor se ro diya....

Kuch Aaye hamari Zindagi mein...isko khushiyo se abaad kar Gaye.....kuch aise bhi Aaye jo khushiyo ke iss bhagiche barbad kar Gaye...bhaut kuch sikha bhaut kuch sikha hai....Zindagi mein sapno ke khet ko apni mehnat se seechna hai......

Zindagi ka toh sirf naam hai...yeh sab toh uss upar wale ke khel hai.....jo samaj jate hai uski raza ko woh ismein pass aur baki sab fail hai....

Mere dost yahi Zindagi ke khel hai jis mein hote kuch pass aur kuch fail hai.....

Tuesday 6 August 2013

Teri Narazgi

Mere yaar tu naraz kyu ho Gaya..Bus kuch shabdo se apna pyar kyu kam ho gaya... Jo tu meri choti baat se khafa ho gaya....Tera mujhe se baat na Karna toh humpe kehar sa ho Gaya...Maan bhi ja mere dost...Ek din baat na karu tujhse toh lagta hai jaise zamana ho gaya....Jabtak main hu tabh tak tujhe manauga... Dur jane ke baad cahkar bhi  wapis nahi aa pauga.

Inkaar Nahi Suhata

Inkaar sunana ab mere kano ko nahi suhata.. ek baar jisne inkaar kar diya  nahi Bach pata....Han. Tujhse karwaunga aur tujhe aage jukhaunga.....Maan hai mujhe mere bhagwan par... Woh meri har soch ko sach kar dikhayega.....

Eh insan tu Kis baat ki akad dikhata hai.... Tere jaiso ko toh woh pal Mein aasman se Zamin par laata hai...Tune inkaar kiya Maine isko bhi ushi ka 1 rang maana....Kyuki bina thokar khaye iss jagat Mein kisi ne kuch nahi jana....

Mere Malik ka Hath mere sar par hamesha rahega...Main jindagi ki har unchai ko chu lunga..Aur tu bus dekhta rahega....Humne rukna kabhi sikha nahi...Kabhi kabhi dhimi chal chalte hai...Dhima chalna bhi hamari ek adda hai.... Jis pe aaj yeh pura jag fida hai....

Issi liye kehta Hun inkaar mat Karna mujhe warna tu pachtayega...hum kaha ke kaha nikal jayenge aur tu dekhta reh jayega.

Modern Relationships

Aaj kuch modern relations ki baat karte hai...Jismein pyar ko kuch ajeeb shabdo Mein Byan karte hai...Kuch aise aise Kaam bhi karte hai jiske baad pyar ke naam par Ladki ko badnaam karte hai...Ladki ko bhi khoob maja aata hai, jab ladka roj naye naye tohfe laata hai.... Char meethi baatein karke dono ka dil behlata hai...Mere khayal se modern relation kehlata hai...

Kuch din tak aise chalta Jata hai...Jab tak yeh natak  dono ka mann  bahlata hai...Kyuki issi chakar mein dono ka matlab nikal jata hai..Jisko shabdo Mein hum keh nahi sakte.. Yeh toh padhne ke baad apko bhi samaj aata hai...

Ghumna- firna, hath Mein hath shuru ho Jata hai...Dekho aaj yeh pyar modern relation kehlata hai...

Modern relation isko kehte hai aur pyar ko badnaam karte hai...Pyar mein toh matlab nahi hota... Agar matlab hota toh pyar, pyar na ho kar kuch aur hi hota...Hawas jiska naam hota... Kuch hi palo Mein pyar ka naam badnaam hota..

Monday 5 August 2013

Beete Dino Ki Yaad Aur Phir Milne Ka Intazar

Aaj mera likha Kuch Kaam Aa Gaya, Bikharti hua yaari ka aashiana phir se judta hua dekh thora sukoon sa Aa gaya
Jab hua apni galatio ka aahsas, humne turant Galti ko mana aur yaar ko gale laga Liya.... Aaj Teri Rehmat ne phir se kamal dikha diya... Main toh main-meri mein Marta ja raha tha lekin phir Ek Acha Insan bana diya.

Sath sath jab hote hai hum sub toh udhte chale jate...Dekhte ek dusre ko aur muskurate..... Yaari ka yeh nasha bada ajeeb hai, bin piye chadta jata hai.....Arey dekho yaaro apni yaari mein ab Kitna maja Aata hai ..

Kabhi college ke bahar, kabhi pune ki galio mein, apna kafila chalta tha... Apne group ko dekh kar toh Sara college jalta tha... Parwah na karte the kisi ki, apni dhun mein rehte the... Na kisi ki sunte the, aur na hi kisi ko Kuch kehte the.

Aaj Sab apni jindagi mein Kuch na Kuch pane ki daud mein lage hai...Kya tumhe yaad hai yaar tumhara aaj Bhi wahi khada hai....


Itnjar hai us pal ka jab hum phir milenge....Apni hasi ke fuware phir chalenge... Bus intjar hai uspal ka jab hum phir milenge.....